Thursday 3 July 2014

Jin Ki Yaad Mein Hum Deewane Ho Gaye

BHARAT PRASAD

Jin Ki Yaad Mein Hum Deewane Ho Gaye

Jin Ki Yaad Mein Hum Deewane Ho Gaye
Wo Hum Hi Se Begaane Ho Gaye
Shayad Un He Talash Hai Ab Naye Pyaar Ki
Kyun Ki Un Ki Nazar Mein Hum Purane Gaye
 
Tumhara Piyar Chup Chup Ker Kai Chehre Badalta Hai Mujhe Tum Yaad Ate Ho

Tumhara Hijar Shidat Se Mere Dil Ko Masalta Hai Muje Tum Yaad Aate Ho
Samunder Ashna Aankhoon Main Sehra Aan Baste Hain Tumhain Jab Bhool Jata Hoon
Phir In Sehraaoon Main Ik Khawab Ka Chashma Niklata Hai Mujhe Tum Yaad Aate Ho
Main Apne Haath Se Teri Sunehri Yaad Ki Palkain Sajata Hoon Khyaloon Main
Khayaloon Main Tera Moosam Kai Pehlo Badalta Hai Mujhe Tum Yaad Aate Ho
Teri Parchaiyaan Her Su Meri Tanhaiyoon Ka Raqs Kerti Hain Udaasi Per
Mere Seene Main Ik Bechain Sa Bacha Machalta Hai Mujhe Tum Yaad Aate Ho
Kisi Footpath Per Bazar Main Baaghat Main Ya Phir Kisi Darya Kinare Per
Bohat Khush Ho Ke Jab Koi Kisi Ke Saath Chalta Hai Muje Tum Yaad Aate Ho
Main Sara Din Koi Sangi Majasma Ban Ke Rehta Hoon Mager Jab Shaam Dhalti Hai
Mere Dill Ki Jagah Per Koi Pather Sa Pighalta Hai Mujhe Tum Yaad Aate Ho
Tasawoor Main Tumhare Sang Beeti Baarshain Aksar Tumhain Awaz Deti Hain
Nigahoon Main Tumhari Dhoop Ka Ik Deep Jalta Hai Mujhe Tum Yaad Aate Ho
Kabhi Koi Sitara Aankh Se Hota Howa Bhujta Hai Aa Ke Goad Main Gir Ker
Kabhi Koi Bohat Hi Door Ubharta Hai Dhalta Hai Mujhe Tum Yaad Aaate Ho
 
Meri Zindagi Mein Aaj Yun Sahare Na Hote,

Kash Wo Aaj Hamare Na Hote,
Na Rota Main Raaton Ki Tanhaiyo Mein,
Agar Wo Hamari Zindagi Mein Yu Aaye Na Hote.

Hasana Janti Ho Rulana Janti Ho,

Hasana Janti Ho Rulana Janti Ho,
Sirf Tum Hi Kyu Mujhe Tadpana Janti Ho,
Sochta Tha Akele Rehta Hoon Main,
Per Tum To Mere Khwabon Mein Bhi Aana Janti Ho
.

Tumhara Piyar Chup Chup Ker Kai Chehre Badalta Hai Mujhe Tum Yaad Ate Ho

Tumhara Piyar Chup Chup Ker Kai Chehre Badalta Hai Mujhe Tum Yaad Ate Ho
Tumhara Hijar Shidat Se Mere Dil Ko Masalta Hai Muje Tum Yaad Aate Ho
Samunder Ashna Aankhoon Main Sehra Aan Baste Hain Tumhain Jab Bhool Jata Hoon
Phir In Sehraaoon Main Ik Khawab Ka Chashma Niklata Hai Mujhe Tum Yaad Aate Ho
Main Apne Haath Se Teri Sunehri Yaad Ki Palkain Sajata Hoon Khyaloon Main
Khayaloon Main Tera Moosam Kai Pehlo Badalta Hai Mujhe Tum Yaad Aate Ho
Teri Parchaiyaan Her Su Meri Tanhaiyoon Ka Raqs Kerti Hain Udaasi Per
Mere Seene Main Ik Bechain Sa Bacha Machalta Hai Mujhe Tum Yaad Aate Ho
Kisi Footpath Per Bazar Main Baaghat Main Ya Phir Kisi Darya Kinare Per
Bohat Khush Ho Ke Jab Koi Kisi Ke Saath Chalta Hai Muje Tum Yaad Aate Ho
Main Sara Din Koi Sangi Majasma Ban Ke Rehta Hoon Mager Jab Shaam Dhalti Hai
Mere Dill Ki Jagah Per Koi Pather Sa Pighalta Hai Mujhe Tum Yaad Aate Ho
Tasawoor Main Tumhare Sang Beeti Baarshain Aksar Tumhain Awaz Deti Hain
Nigahoon Main Tumhari Dhoop Ka Ik Deep Jalta Hai Mujhe Tum Yaad Aate Ho
Kabhi Koi Sitara Aankh Se Hota Howa Bhujta Hai Aa Ke Goad Main Gir Ker
Kabhi Koi Bohat Hi Door Ubharta Hai Dhalta Hai Mujhe Tum Yaad Aaate Ho
 
Wo Jagah Yad Aate Hai  Wo Mandir Yad Aata Hai

Jab Pujaa Ke Bahane Hum Mandir Me Milte The
Wo Subah Ki Dhup Yad Aati He
Wo Sham Ki Thandi Hawa Yad Aati Hai
Jab Hum Hatho Me Hath Leke
Madir Ki Sidhiyo Pe Chadhte The
Wo Pani Ka Nal Yad Aata He
Wo Thahrne Ki Jagah Yad Aati He
Jab Tum Thak Kar Pani Piti Thi
Aur Kuch Pal Ruk Jati Thi ..
Wo Ghantiya Yad Aati He Wo Aarti Yad Aati He ..
Jab Unhe Bajate Hue Tera Hath Chu Jate The ,
Aarti Lete Waqt Garam Lag Jata Tha ..
Wo Kona Yad Aata He Wo
Puchko Ki Rediya Yad Aati He ..
Jinhe Dekhke Tumhara Man Machlta Tha
Per Wrat Me Tum Kha Na Pati Thi..
Wo Sham Yad Aati He Wo Rate Yad Aati He ..
Jab Hum Dandiya Khelte The
Aur Sabke Jane Ke Bad Tare Ginte The ..
Wo Pal Yad Aata He Wo Shama Yada Aata He …
Jab Tum Sharma Ke Nazre Jhuka Leti Thi
Aur Bhag Ke Chali Jati Thi ..
Wo Aawaj Aaj Bhi Yad Aati He Aur
Kano Me Gunjti He
Jab Jate Hue Tumhari Chudiya
Aur Payal Na Jane Ke Liye Khanakti Thi ..
Kashh Tum Na Jatiii Kasshh Tum Ruk Jati ..
Kashh Tum Laut Aati ..
To Ye Din Na Yad Aate Aur Is Pal
Hum Dono Sath Hote Yade Sanjone Ke Liye .
Main Dil Ki Baat Magar Deewar Per Nahi Likha Kerta.
Ager Per Jaye Adat Apne Saath Rehne Ki
Ye Saath Aisa Hai Ke Insan Ko Tanha Nahin Kerta
Zameen Pairon Se Kitnee Baar Din Main Nikaltee Hai
Main Aisee Madaton Per Dil Magar Chota Nahin Kerta.
Tera Israr Sur Ankhon Pe Ke Tujh Ko Bhool Jaye.
Main Koshish Ker Ke Dekhoon Ga Magar Wada Nahin Kerta.

Salook Na Rawa Ka Iss Liye Shikwa Nahin Kerta.

Ke Main Bhi To Kisi Ki Baat Ki Pervah Nahin Kerta.
Buhat Hoshiar Hoon Apni Ladai App Ladta Hoon
Main Dil Ki Baat Magar Deewar Per Nahi Likha Kerta.
Ager Per Jaye Adat Apne Saath Rehne Ki
Ye Saath Aisa Hai Ke Insan Ko Tanha Nahin Kerta
Zameen Pairon Se Kitnee Baar Din Main Nikaltee Hai
Main Aisee Madaton Per Dil Magar Chota Nahin Kerta.
Tera Israr Sur Ankhon Pe Ke Tujh Ko Bhool Jaye.
Main Koshish Ker Ke Dekhoon Ga Magar Wada Nahin Kerta.

Tum Ko Ham Dil Me Basaa Lenge Tum Aao To Sahii

Saarii Duniyaa Se Chhupaa Lenge Tum Aao To Sahii
Ek Vaadaa Karo Ab Ham Se Na Bhichhadoge Kabhii
Naaz Ham Saare Uthaa Lenge Tum Aao To Sahii
Bevafaa Bhii Ho Sitamagar Bhii Jafaa_peshaa Bhii
Ham Khudaa Tum Ko Banaa Lenge Tum Aao To Sahii
Yun To Jis Simt Nazar Uthatii Hai Taariikii Hai
Pyaar Ke Diip Jalaa Lenge Tum Aao To Sahii
Ikhtalaafaat Bhii Mit Jaayenge Raftaa Raftaa
Jis Tarah Hogaa Nibhaa Lenge Tum Aao To Sahii
Dil Kii Viiraanii Se Ghabaraake Na Muunh Ko Modo
Bazm Ye Phir Se Sajaa Lenge Tum Aao To Sahii
Raah Taariik Hai Aur Duur Hai Manzil Lekin
Dard Kii Shamaen Jalaa Lenge Tum Aao To Sahii
 
1 comment:

Total Pageviews